Mobi Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

Kawakib - Topics
Create Your Own App Store

* Kawakib > Topics


Subject: RAMDHAN
Replies: 19 Views: 10560

kawakib 11.08.09 - 01:31pm
ROJAH KISE KAHTE HAI - ahle lugat (dictinory) ke najdik ek makhsus waqt me khane pine or jima (bivi) se ruke rahne ko rojah kahte he
Shariyat me rojah ka mafhum yah he ki admi subah sadiq se lekar suraj dubne tak allah ki raza ke liye khane pine jima (bivi) or dusri haram karda chizo se apne apko mahfuj rakhe *

kawakib 11.08.09 - 01:36pm
ROJAH KAB FARZ HUA - allah ke rasul (s.a.w.) apne rab ke hukm ke mutabik jab maqqa se madina tashrif laye to allah ne un par 2 saal ke baad rojah farz kiya, yani sha'ban ke mahine me 2 hijri me rojah farz hua. *

kawakib 11.08.09 - 01:52pm
MAHE MUQADDAS KI FAJILAT - ramdhan mubarak ke fazail wa masail ke taalluk se bahut sari hadith moujud he. Filhal main yah samajhta hu ki bukhari or muslim ki yah rivayat mahe muqaddas ki fajilat ke liye kafi he - allah ke rasul (s.a.w.) ne farmaya : jab ramzan ka mahina aata hain to asman ke darwaze khol diye jaate hain or jahannam ke darwaze band kar diye jate hain or shaitan ko zanzir main jakad diya jata hain (bukhari,muslim), bukhari wa muslim ki dusri hadis par gour farmaye - jo iman or sawaab hasil karne ki niyat se ramjan ke roje rakhega to uske tamam agle gunah baksh diye jayenge. (bukhari,muslim) *

kawakib 11.08.09 - 02:09pm
CHAN KA DEKHNA - allah ke rasul (s.a.w.) ne chand dekhne ki badi taqid farmayi he. Hadis par gour kijiye - rojah na rakho yaha tak ki chand na dekhlo, or iftaar na karo yaha tak ki chand ko dekhlo or agar asmaan saaf na ho baadal ho to thik thik andaja lagao (muttafiq alayh) . . . .dusri hadis - ramjan ka chand dekhne ke baad he rojah shuru karo or iftaar bhi shavval ka chand dekhne ke baad he karo agar baadal saaf na ho to sha'ban ke 30 din muqammal karo.(bukhari) . . . .agar kisi musalman ko chan dikhai na de to dusre musalman ke chand dekhne ko sahi samjhe. Shart yah he ki davedar pakka suchcha musalman ho. Is silsile me allah ke rasul (s.a.w.) ka farman he ki rojah rakhne ke liye 1 musalman ki gavahi or iftaar ke liye 2 musalman ki gavahi jaruri hain. *

kawakib 11.08.09 - 02:18pm
CHAND DEKHNE KI DUA - allahu akbar allahumma ahillahu alayna bil amni wal imaan wassalaamati wal islam wattoufiqi limatouhibbu watarja rabbuna wa rabbukallah (tirmizi) *

kawakib 11.08.09 - 03:07pm
ROJAH KI NIYAT - farz rojo ke liye subah sadiq se pahle niyat karna jaruri hain is silsile me allah ke rasul (s.a.w.) ki ek rivayat moujud hain. Jisne fazar se pahle rojah ki niyat nahi ki uske rojah ka aitbaar na hoga (tirmizi) **NOTE : jo duaye roja rakhne ke liye or iftaar karne ke liye padhi jati he. Wo sunnat se sabit nahi hai. Lihaza rojah rakhne ke liye sirf dil se irada kar lena kafi hai. Dua padhna jaruri nahi hai. Or iftaar karne ke liye sirf bismillah padh lena he kafi hoga. *

kawakib 11.08.09 - 03:46pm
SAHRI - rojah rakhne ke liye raat ke akhri waqt me kuch kha pi lene ka naam sahri hai. Jo allah ke rasul (s.a.w.) ki sunnat hai. Hadis par gour farmaye - allah ke rasul (s.a.w.) ne farmaya, humare or ahle-kitab (yahudi) ke rojo ke darmiyaan fark paida karne wali chiz sahri hai. Isliye sahri kiya kar chahe 1 ghut pani he sahi (muttafiq alayh) . . . . .moujuda samay me kuch jagaho par mene ye dekha hai ki log adhi raat ko uthte hai or khana khate hai fir mithi nind so jate hai jisse fazar ki namaz ka chhut jana yakini hota hai, musalmaan bhaiyo or bahno kiya sahri khane ka yahi tariqa bataya gaya hai agar nahi to hume apne in galat tariko me tabdili paida karna chahiye, dil ke ander taqwa (allah ka dar) paida karna chahiye ki kahi sunnat ke khilaf amal karke hum apne achchhe amlo ko barbaad na kar de. *

kawakib 11.08.09 - 04:12pm
IFTAAR - suraj ke dub jane ke baad fouran iftaar kar lena chahiye. Is silsile me allah ke rasul (s.a.w.) ki hadis moujud hai - jab tak log iftaar me jaldi karenge (waqt par) us waqt tak bhalaiyo me rahenge. (muttafiq alayh) aaj humare ma'ashre me allah ke rasul (s.a.w.) ki khuli khilaf warji ho rahi hai, sahri me jaldi karte hai or iftaar mai deri karte hai. . . .ramjan me bahut sari jagho par dekha gaya hai ki ek jagah log iftaar ke liye jama huye kuch log to ajaan sunkar iftaar karne lage or kuch apne hatho ko roke rakhe shayad apni azaan ka intizaar kar rahe the, allah ki panaah , allah hume sahi aql ata farmaye or hume apni azaan nahi balki azaan sunkar iftaar karne ki toufik de. Amin ! . . .isliye ki bande moumin ko har waqt allah or allah ke rasul (s.a.w.) ke farmaan ko apne saamne rakhna chahiye or yah dekhte rahna chahiye ki uska koi amal allah or allah ke rasul (s.a.w.) ke khilaf to nahi ho raha hai, apni aql ke istemal karke kisi bhi amal me jyadti ya kami nahi karna chahiye or humesha allah ke is farmaan ko apne samne rakhna chahiye ki - yakini tour par tumhare liye allah ke rasul (s.a.w.) ki jindgi me bahtrin namuna he. (ahzaab 21) . . . .jo hazraat amaal ke ander aqal ko dakhal dete he unka koi bhi amal chahe wah kitna he achchha kyou na ho allah ke paas qubul nahi hoga, example ke liye yah waqya jo islami tarikh me mahfuz he mulahiza farmaye. . . . *

kawakib 11.08.09 - 04:35pm
ek baar abdullah ibne abbas (r.d.a.) or muaviya bin yajid (r.d.a.) khana-e-qaba ka tawaaf kar rahe the, muaviya bin yajid (r.d.a.) ne ruqneshami or ruqneyamani ko bhi bosa (chumna ya kiss karna) dena shuru kiya, fouran abdullah ibne abbas (r.d.a.) ne farmaya ae muaviya tum ye konsa amal kar rahe ho, muaviya (r.d.a.) ne farmaya mai bosa de raha hu. Kyouki khana-e-qaba ki tamaam chize mohtram wa mutabarrak hai isliye khana-e-qaba ki tamaam chizo ko bosa dena, inko hath lagana achchha amal hain, abdullah (r.d.a.) ne farmaya ki kiya allah ke rasul (s.a.w.) ne aisa kiya hai ya karne ka huqm diya hai, ek musalmaan ke liye to allah ke rasul (s.a.w.) ki jindgi mai bahatrin namuna hai, muaviya (r.d.a.) ko apni is galti ka ahsaas hua or yah aitraaf bhi ki agar kisi amal me jyadti ya kami ho to wah amal allah ke yaha qubul nahi hoga, agar wah kitna he achchha amal kyou na ho, allah ka farmaan he ki - rasul (s.a.w.) jo kuch tumko de wah le lo or jis chiz se mana karde usse ruq jao (hashr 7) *

tan12 11.08.09 - 06:58pm
Thanks bro! *

kawakib 12.08.09 - 04:49am
JIN CHIZO SE ROJAH TOOT JATA HAI -
(1) agar badli (asmaan saaf na hona) ki vajah se rojah khol liya or suraj malum ho gaya to rojah kaja karna hogi
(2) jaan bujh kar kha pi lena, kai (ulti) karna
(3) haiz va nifas (khun) ka aa jana, in surto me kaja jaruri hai
(4) jaan bujh kar (biwi se) jima karna, is surat mai kaja or qaffara dono hai, rojah ki kaja karna hoga or qaffara ada karna hoga, qaffara yah hai ki 1 gulam ko azaad karna ya lagatar 2 mahine ka rojah rakhna ya 60 miskino (garib) ko khana khilana ya 60 miskino ke khane ki kimat ada karna
(5) jaan bujh kar bidi, cigrate pine ya kisi tarah ka dhuva muh me le jane se rojah tut jata hai, kaja rakhna jaruri hai
(6) naak (nose) me is tarah pani chadhana ki halak se niche utar jaye *

kawakib 12.08.09 - 05:06am
_JIN CHIZO SE ROJAH NAHI TOOT'TA HAI -
(1) bhulkar kha pi lene se
(2) misvaq karne or sar mai tel lagane se
(3) kanghi karne surma lagane se
(4) khud ba khud kai (ulti) aane se
(5) injection chahe rago ya gosht mai lagaya jaye to rojah nahi toot'ta (ahtiyat bahtar hai)
(6) maji kharij ho jaye ya ahatlaam ho jaye to rojah nahi toot'ta hai
(7) ankh me dava or kaan mai tel dalne or tar (bhiga hua) kapda badan par rakhne se rojah nahi toot'ta hai
(8) subah sadiq ke baad gusl-e-janabat karne se rojah nahi toot'ta
(9) biwi se bosa ( kiss) va kinar karna bashart ki admi apne upar qabu rakh sake, to rojah nahi toot'ta
(10) kulli karte waqt bagair irada kiye pani ka halak mai chale jane se rojah nahi toot'ta
(11) suraj gurub hone ka yaqin karke rojah iftaar kar lene se rojah nahi toot'ta *

aadi21 12.08.09 - 07:49am
Azaan sun kar roza khollena cahhiye be shak.... Is baat par b to gaor kare bhai. K agar waqt hi na huwa ho aur Azaan ho to Roza iftar kaise hoga? Wo to chala jaega. Maslan aj kal gaermuqallid Azaan k waqt se pahle hi Azaan de dete hai. 2se 3min pahle.... Aur agar Azaan sun kar hi roza iftar karna farz hai .... To kya agar koi kafir spekar lekar Azaan kehne lage magrib k waqt to kya ap Roza iftar karloge???.... Allah k Rasool Sallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya saheri me deri karo aur iftar me jaldi... Iska ye matlab nai subhe sadik k khatam hone k baad b sehri karte raho... Ya iftar k waqt se pahle hi iftar karlo... Allah hume taofeeq de k hum apne Nabi k farman par Amal kare....Ameen.... *

kulsum 13.08.09 - 11:31am
Good2.GIFgood2.GIF *

kawakib 13.08.09 - 06:08pm
Aadi bhai sawaal puchhne ke liye shukriya, allah apko neq toufik de.mere bhai mera kahne ka matlab ye nahi tha jo apne samjha, allah ke rasul (s.a.w.) farmate hai, jab raat aa jaye, din chala jaye or suraj gurub ho jaye to rojahdar roja khol le. (bukhari,muslim) . . .iska matlab ye hua ki rojah kholne ke liye azaan ka sunna jaruri nahi hai, jaruri suraj ka gurub hona hai, suraj gurub hote he rojah khol lena chahiye,or masjido me b suraj gurub hote he azaan dena chahiye, ap ye dekhiye ki ghair muqallid (ahle-hadith) kab azaan de rahe hai, upar bayaan ki huyi hadith ke mutabiq azaan de rahe hai to thik warna galat. *

mohsin11 29.07.10 - 03:18pm
Very gud @ kawakib bhai *

zooya 29.07.10 - 04:42pm
Thanx for ur info. JazakAllah kheir *

kawakib 29.07.10 - 06:14pm
welcome.GIF *

rabianaz 30.07.10 - 10:27pm
mashallah *

miirfan 13.08.11 - 09:32pm
Thnx for info kawakib bhai..!! *


* Reply
* Kawakib Forum


Search:
topics replies


* Kawakib

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Create Your Own App Store